Dard hua to dil se awaz ayi maa
taklif hui to yaad teri ayi maa
jab sabne chor diya matlbi
bewafa keh kar
phr mujhe yad tere anchl ki ayi maa
mai kitna badnaseeb hun
logo se piyar manga maine mili mujhe tanhai
tune bin mange kitna piyar diya
aur mai teri he kadar na kar saka maa
badgumani se maine her ek ko
seene
se lagaya
par badnaseebi to dekho
bus tujhe he apkne gale se na lagaya maa
duniya ki ranginiyo me khoya
raha
bas ek tere he bhool kar sbke piche
bhagta raha maa
teri tanhaiyo me he bs ek pal tere sath na raha
mai badnseeb teri mafi k kabil bhi
na raha
jab hosh me aya tb malum hua ki
koi apna nahi bs tere siwa maa
teri god me sir rakh rakh kar
mout-e-fariyad ki duwa ki
maa ne rote rote apni zindgi ki
khushiyan mere naam ki
mai kitna beaqal kamzarf hoon
tera khwab b pura na kr saka mai
maine kitne dukh diye
aur tune uff tak ni kiya maa
tune kabi na sath chora
na kbhi kuch kaha tune maa
bas ek khwab hai zindigi ka
besak kuch mile na mile
mai kuch banu ya na banu
ek arman hai zindgi ka
mai ek dafa teri god me sir rakh
kr so saku maa
woh sukon-e-nind pana
chahta hun maa
bhot dard ho raha hai maa